be-mehr-o-wafa hai wo dil-aram hamara
kya jaane kya howega anjam hamara
kya qahr hai auron se wo milta phire zalim
aur muft mein ab nam hai bad-nam hamara
ai aab-e-dam-e-tegh-e-sitam-kash bujha pyas
hota hai teri chah mein ab kaam hamara
labrez kar is daur mein ai saqi-e-kam-zarf
mat rakh mai-e-gulgun se tahi jam hamara
kis tarah nikal bhagun main ab aankh bacha kar
sad chashm se yan hai nigaran dam hamara
ye zulf-o-ruKH-e-yar hai ai shaiKH o barahman
billah yahan kufr aur islam hamara
baiat ka irada hai tere silsile mein jun
shana hai ab ai zulf-e-siyah-fam hamara
us shoKH talak koi na pahuncha saka hamdam
juz-huqqa yahan bosa ba-paigham hamara
kya kahiye kis andaz se sharmae hai wo shoKH
taqriban agar le hai koi nam hamara
sayyaad se kahte the ki be-baal-o-pari mein
aazad na kar bad hai kuchh anjam hamara
parwaz ki taqat nahin yan ta-sar-e-diwar
kyunkar ho pahunchna ba-lab-e-baam hamara
is ishq mein jite nahin bachne ke 'nasir' aah
ho jaega ek roz yun hi kaam hamara
Ghazal
Be-mehr-o-wafa hai wo dil-aram hamara
Shah Naseer