be-kasi se marne marne ka bharam rah jaega
wo zarur aaenge jab aankhon mein dam rah jaega
kya KHushi mein zindagi ka hosh kam rah jaega
gham agar miT bhi gaya ehsas-e-gham rah jaega
hae wo ek aalam-e-be-tabi-e-pinhan ki jab
fasla manzil se apna do-qadam rah jaega
chheD di main ne agar rudad-e-husn-e-shash-jihat
na-mukammal qissa-e-dair-o-haram rah jaega
Ghazal
Be-kasi se marne marne ka bharam rah jaega
Shakeel Badayuni