be-kasi par zulm la-mahdud hai
matla-e-insaf abr-alud hai
waqt ki qimat ada karne ke baad
ahd ka firaun phir masjud hai
har taraf zar ki parastish hai yahan
sunte aae the KHuda mabud hai
chaar su hai aatish o aahan ka khel
aur KHala mein shoala-o-barud hai
tabish-e-ilm-o-hunar hai be-samar
kawish-e-husn-e-amal be-sud hai
amn 'kaifi' ho nahin sakta kabhi
jab talak zulm-o-sitam maujud hai

Ghazal
Be-kasi par zulm la-mahdud hai
Iqbal Kaifi