be-karan dasht-e-be-sada mere 
aa khule bazuon mein aa mere 
saf-shaffaf sabz farsh tera 
gard-aluda dast o pa mere 
sarkash o sar-buland baam tera 
sar-nigun shahpar-e-hawa mere 
be-sutun KHema-e-sabaat tera 
mahw-e-sahra nuqush-e-pa mere 
shab-e-hijran ki la-zawal teri 
gham ki aamada-e-fana mere 
dasht o dariya sabhi KHamosh hue 
zamzama-sanj o ham-nawa mere 
main payambar tera nahin lekin 
mujh se bhi baat kar KHuda mere 
ek ek tara jaanta hai mujhe 
hain sabhi 'zeb' aashna mere
        Ghazal
Be-karan dasht-e-be-sada mere
Zeb Ghauri

