be-haqiqat duriyon ki dastan hoti gai
ye zamin misl-e-sarab-e-asman hoti gai
kis KHarabi mein hua paida jamal-e-zindagi
asl kis naql-e-makan mein raegan hoti gai
tangi-e-imroz mein aainda ke aasar hain
ek zid baDh kar kisi sukh ka nishan hoti gai
dusre ruKH ka pata jis ko tha wo KHamosh tha
wo kahani bas isi ruKH se bayan hoti gai
ek sada uTThi to ek aalam hua paida 'munir'
ek kali mahki to pura gulsitan hoti gai
Ghazal
Be-haqiqat duriyon ki dastan hoti gai
Muneer Niyazi