be-faiz ajab nikli ye fasl-e-tamanna bhi
phuTi nahin konpal bhi chaTka nahin ghuncha bhi
kya ho gaya gulshan ko sakit hai faza kaisi
sab shaKH o shajar chup hain hilta nahin patta bhi
lau jis se lagai thi wo aas bhi maddham hai
dil jis se charaghan tha bujhta hai wo shoala bhi
is ishq mein kya khoya is dard se kya paya
tum ne nahin puchha bhi hum ne nahin socha bhi
aangan hi mein ab dil ke hum KHak uDate hain
ghar hi mein nikal aai gunjaish-e-sahra bhi
andhon ke liye roun bahron ke liye gaun
hai zauq-e-nawa mujh ko lekin nahin itna bhi
Ghazal
Be-faiz ajab nikli ye fasl-e-tamanna bhi
Jamal Panipati