be-diye le uDa kabutar KHat
yun pahunchta hai upar upar KHat
purze purze hua sarasar KHat
ek KHat ke bane bahattar KHat
qatl hote hain nama-bar har roz
lash par lash aur KHat par KHat
roz ek nama-bar kahan se aae
yun hi rakh chhoDta hun likh kar KHat
kya qalam ne sharar-fishani ki
phuljaDi ban gaya mera har KHat
chaar hainge kul un ke ham-sae
likh ke de aae aaj ham-sar KHat
jo ki lete nahin hain mera nam
wo likhenge mujhe muqarrar KHat
kis tarah sarnawisht ko badlun
KHat mein mil jae ghair ke gar KHat
paDh to lenge wo nama mera bhi
aate rahte hain us ke aksar KHat
dekh kar nam phenk denge zarur
phir na lenge kabhi mukarrar KHat
Dak-ghar mein ticket nahin baqi
'nazim' itne gae hain KHat par KHat
Ghazal
Be-diye le uDa kabutar KHat
Syed Yusuf Ali Khan Nazim