be-dam hue bimar dawa kyun nahin dete
tum achchhe masiha ho shifa kyun nahin dete
dard-e-shab-e-hijran ki jaza kyun nahin dete
KHun-e-dil-e-wahshi ka sila kyun nahin dete
miT jaegi maKHluq to insaf karoge
munsif ho to ab hashr uTha kyun nahin dete
han nukta-waro lao lab o dil ki gawahi
han naghmagaro saz-e-sada kyun nahin dete
paiman-e-junun hathon ko sharmaega kab tak
dil walo gareban ka pata kyun nahin dete
barbaadi-e-dil jabr nahin 'faiz' kisi ka
wo dushman-e-jaan hai to bhula kyun nahin dete
Ghazal
Be-dam hue bimar dawa kyun nahin dete
Faiz Ahmad Faiz