be-aman shab ka dhuan Dar ki taraf khinchta hai
ek nadida samundar ki taraf khinchta hai
dil kahin dur bahut dur nikal jata hai
waqt taswir ke andar ki taraf khinchta hai
main khurachta hun hatheli se lakiron ka azab
ek sitara mujhe mehwar ki taraf khinchta hai
dasht-e-ehsas ki shiddat se nikalna hai muhaal
dard bite hue manzar ki taraf khinchta hai
chand dhundlae hoe aks hain pas-manzar mein
ye koi KHwab mujhe ghar ki taraf khinchta hai

Ghazal
Be-aman shab ka dhuan Dar ki taraf khinchta hai
Rahil Bukhari