bazm-e-ijad mein be-parda koi saz nahin
hai ye teri hi sada ghair ki aawaz nahin
kah sake kaun wo kya hai magar az-ru-e-yaqin
gul nahin shama nahin sarw-e-sar-afraaz nahin
dil ho be-laus to kya wajh-e-tasalli ho darogh
tair-e-murda magar toama-e-shahbaz nahin
bulbulon ka tha jahan sehn-e-chaman mein amboh
aaj chiDiya bhi wahan zamzama-pardaz nahin
bhag virana-e-duniya se ki is manzil mein
nuzl-e-mehman ba-juz maida-e-az nahin
dilbari jazb-e-mohabbat ka karishma hai faqat
kuchh karamat nahin jadu nahin eajaz nahin
dil ki tasKHir hai shirin-suKHani par mauquf
kuchh karamat nahin jadu nahin eajaz nahin
dast-e-qudrat ne mujhe aap banaya hai to phir
kaun sa kaam hai mera ki KHuda-saz nahin
Ghazal
Bazm-e-ijad mein be-parda koi saz nahin
Ismail Merathi