bazm-e-duniya jis ko kahte hain wo pagal-KHana tha
hum ne KHud dekha hai matlab ka har ek diwana tha
baghban ye chaar tinke the paDe rahte kahin
naKHl-e-matam par bhi kya bhaari mera kashana tha
ai shab-e-hijran zyaada panw phailati hai kyun
bhar gaya jitna hamari umr ka paimana tha
DhunDo to but bhi yahin mil jaenge mard-e-KHuda
hum ne dekha hai haram hi mein kahin but-KHana tha
kar gaya kyunkar bayan-e-dard-e-dil un par asar
ye to ai 'natiq' koi afsun na tha afsana tha

Ghazal
Bazm-e-duniya jis ko kahte hain wo pagal-KHana tha
Natiq Gulavthi