bazm-e-alam mein sada hum bhi nahin tum bhi nahin
munkir-e-roz-e-jaza tum bhi nahin hum bhi nahin
sar-phiri tund hawa hum bhi nahin tum bhi nahin
mulk-dushman ba-KHuda hum bhi nahin tum bhi nahin
kis ke ima pe hai ye KHun-KHaraba ye fasad
qail-e-jaur-o-jafa hum bhi nahin tum bhi nahin
jaan aapas ki burai mein ganwa den apni
is qadar KHud se KHafa hum bhi nahin tum bhi nahin
hum ko dastur ne baKHshe hain barabar ke huquq
koi kamtar na siwa hum bhi nahin tum bhi nahin
jazb hai KHak-e-watan mein jo buzurgon ka lahu
is ki miTTi se juda hum bhi nahin tum bhi nahin
Ghazal
Bazm-e-alam mein sada hum bhi nahin tum bhi nahin
Ghani Ejaz