bayan apna dukh ab kiya jae na
bayan ke bina bhi jiya jae na
masarrat mile dekhne ki use
tasawwur bhi jis ka kiya jae na
kahan hai tu ai muntazir marg-e-man
ki ab mujh se tujh bin jiya jae na
bahut zaKHm khae meri aankh ne
darida ye manzar siya jae na
qadam chumti hai zamin meri 'shah'
magar mujh se badla diya jae na
Ghazal
Bayan apna dukh ab kiya jae na
Shah Husain Nahri