bayan ai ham-nashin gham ki hikayat aur ho jati
zara hum KHasta-haalon ki tabiat aur ho jati
nasihat hazrat-e-waiz ki sunte bhi to kya hota
yahi hota ki hum ko un se wahshat aur ho jati
bahut achchha hua aansu na nikle meri aankhon se
bapa mahfil mein ek taza qayamat aur ho jati
taDap kar dil ne manzil par mujhe chaunka diya warna
KHuda jaane ki tai kitni masafat aur ho jati
tumhaare nam se hai bekason ka nam wabasta
bula lete agar dar par to nisbat aur ho jati
bahut saste rahe nichi nazar se dil liya tum ne
agar nazren bhi mil jatin to qimat aur ho jati
sharaf baKHsha hai tum ne aaj mujh ko ham-kalami ka
kahun kuchh dil ki baat itni ijazat aur ho jati
zahe qismat nawaza hai jawab-e-KHat se 'wasif' ko
dikhate ek jhalak itni inayat aur ho jati

Ghazal
Bayan ai ham-nashin gham ki hikayat aur ho jati
Wasif Dehlvi