اردو हिंदी
Bayabanon pe zindanon pe viranon pe kya guzri | Shaahi Shayari
bayabanon pe zindanon pe viranon pe kya guzri

Ghazal

Bayabanon pe zindanon pe viranon pe kya guzri

Sikandar Ali Wajd

;

bayabanon pe zindanon pe viranon pe kya guzri
jahan-e-hosh mein aae to diwanon pe kya guzri

dikhaun tujh ko manzar kya gulon ki paemali ka
chaman se puchh le nau-KHez armanon pe kya guzri

bahaar aae to KHud hi lala o nargis bata denge
KHizan ke daur mein dilkash gulistanon pe kya guzri

nishan-e-shama-e-mahfil hai na KHak-e-ahl-e-mahfil hai
sahar ab puchhti hai raat parwanon pe kya guzri

hamara hi safina tere tufanon ka bais tha
hamare Dubne ke baad tufanon pe kya guzri

main aksar sochta hun 'wajd' un ki mehrbani se
ye kuchh guzri hai apnon par to beganon pe kya guzri