bayaban-zad koi kya kahe KHud be-makan hai
samundar ai samundar tera apna ghar kahan hai
wafa ka ahd kya bandhun abhi ai dast-e-KHushbu
abhi baadal hina-pa hai abhi suraj jawan hai
ajab afsun-sifat sara na chhup kar hai na zahir
jazira aisa soya hai wo dariya sa rawan hai
hawa hai munharif KHud apni hi tahrir se kyun
haqiqat kya yahi hai wo bhi bilkul be-aman hai
sawal aisa ki is ka lab hilana bhi tha mushkil
ye puchha tha ki KHushbu basta hai ya rawan hai
koi to ham-suKHan hota ki us se baat karte
batate khul ke wo kya lafz hai jo be-bayan hai
mere pas aa kabhi ai lamha-e-harf-e-masarrat
ki main bhi dekh lun aaKHir tu kitna KHush-zaban hai
hawa ka hath kya aatish-e-badan hai jo saf-e-gul
ho mausam koi bhi ye to wahi shoala-ba-jaan hai
jo sab kuchh dekh kar bhi dekhne deta nahin kuchh
kahun 'manzur' kya aankhon mein ye kaisa dhuan hai
Ghazal
Bayaban-zad koi kya kahe KHud be-makan hai
Hakeem Manzoor