bayaban ko pashemani bahut hai 
ki shahron mein bayabani bahut hai 
mere hansne pe duniya chaunk uTThi 
mujhe bhi KHud pe hairani bahut hai 
chalo sahra ko bhi ab aazmaen 
suna tha ghar mein aasani bahut hai 
KHuda mahfuz rakkhe fasl-e-dil ko 
kahin sukha kahin pani bahut hai 
kahin baadal kahin peDon ke sae 
ujalon par nigahbani bahut hai 
bahakna meri fitrat mein nahin par 
sambhalne mein pareshani bahut hai
 
        Ghazal
Bayaban ko pashemani bahut hai
Muzaffar Abdali

