اردو हिंदी
Bayaban dur tak maine sajaya tha | Shaahi Shayari
bayaban dur tak maine sajaya tha

Ghazal

Bayaban dur tak maine sajaya tha

Ghulam Mohammad Qasir

;

bayaban dur tak main ne sajaya tha
magar wo shahr ke raste se aaya tha

diye ki aarzu ko jab bujhaya tha
phir us ke baad aahaT thi na saya tha

use jab dekhne ke baad dekha to
wo KHud bhi dil hi dil mein muskuraya tha

dil-o-diwar the ek nam ki zad par
kahin likhkha kahin main ne miTaya tha

hazaron is mein rahne ke liye aae
makan main ne tasawwur mein banaya tha

jahan ne mujh ko pahle hi KHabar kar di
kabutar der se paigham laya tha

chale mallah kashti git ummiden
ki jaise sab ko sahil ne bulaya tha