اردو हिंदी
Bataun main tumhein aankhon mein aansu ya lahu kya hai | Shaahi Shayari
bataun main tumhein aankhon mein aansu ya lahu kya hai

Ghazal

Bataun main tumhein aankhon mein aansu ya lahu kya hai

Yunus Ghazi

;

bataun main tumhein aankhon mein aansu ya lahu kya hai
kabhi ai kash tum puchho ki meri aarzu kya hai

main teri aahaTen pata hun kaliyon ke chaTakne mein
gulistan mein ba-juz jalwon ke tere rang-o-bu kya hai

usi ko dard kahta hai usi ko dard ka darman
nahin ye ishq to ai dil bata phir justuju kya hai

safai pesh karte ho jo apni tauba-shikani ki
batao phir tumhaare hath mein jam-o-subu kya hai

dar-e-kaba ho pa-e-naz ho sar rakh diya hum ne
kahan ye shauq-e-sajda dekhta hai ru-ba-ru kya hai

mujhe bhi aaKHirash taslim to ek rose karna hai
agar kuchh bhi nahin hun main to phir ye tu hi tu kya hai

zamane mein to 'ghazi' nam hai mashhur ek be-shak
magar KHud ki nazar mein puchhiye ki aabru kya hai