bataen tum se kya hum aashiq-e-bimar kis ke hain 
hamare dida-e-tar talib-e-didar kis ke hain 
na kyun ham-shakl-e-bulbul madh mein naghma-sara hun main 
tumhin mujh ko bata do phul se ruKHsar kis ke hain 
koi be-KHud koi ba-KHud hue teri mohabbat mein 
jo hain ghafil wo kis ke hain jo hain hoshyar kis ke hain 
uTha kar hath mein tasbih mujh se dil ye kahta hai 
barahman kis ke hain hum sahib-e-zunnar kis ke hain 
na kyun bahr-e-shahadat sar jhukaen shauq se aashiq 
basan-e-tegh kahiye abru-e-KHamdar kis ke hain 
kaha ye tair-e-dil ne ulajh kar zulf-e-pur-KHam mein 
phansaya kis ne mujh ko aur ye kirdar kis ke hain 
nahin malum zaKHmi ho gaya hai kaun shaidai 
gul-e-taza 'jamila' zaKHm-e-daman-dar kis ke hain
        Ghazal
Bataen tum se kya hum aashiq-e-bimar kis ke hain
Jameela Khuda Bakhsh

