اردو हिंदी
Batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke | Shaahi Shayari
batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke

Ghazal

Batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke

Bedam Shah Warsi

;

batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke
nigah-e-shauq kisi ki nigah se mil ke

nikale hausle maqtal mein apne bismil ke
nisar tegh ke qurban aise qatil ke

main us pe sadqe jo jae kisi ki yaad mein jaan
kisi ko chahe main qurban jaun us dil ke

baDi adaon se li jaan apne kushte ki
hazar bar main qurban apne qatil ke

ghubar-e-qais nahin hai to kaun hai laila
koi to hai ki jo phirta hai gird mahmil ke

wo phuT bahne mein mashshaq hain ye rone mein
rahenge dab ke na aankhon se aable dil ke

mahaar-e-naqa-e-laila tu khinch le ai aah
haTa de dast-e-talab baDh ke parde mahmil ke

wo dil mein hain magar aankhon se dur hain 'bedam'
paDa hua hun main pyasa qarib sahil ke