basar hona bahut dushwar sa hai
ye shab jaise kisi ki bad-dua hai
andhere moD par mujh sa hi koi
na jaane kaun hai kya chahta hai
ek aisa shaKHs bhi hai bastiyon mein
hamein hum se ziyaada jaanta hai
panahen DhunDne nikli thi duniya
sawa neze pe suraj aa gaya hai
abhi tak surKH hai miTTi yahan ki
jahan main hun wo shayad karbala hai
KHushi ki lahr dauDi dushmanon mein
wo shayad doston mein ghir gaya hai
kai din ho gae hain chalte chalte
KHuda jaane kahan tak rasta hai
Ghazal
Basar hona bahut dushwar sa hai
Ameer Qazalbash