bas wahi wo dikhai dete hain
ek ke do dikhai dete hain
jitne harjai hum ne dekhe hain
utne kis ko dikhai dete hain
wo yahan hain nahin pata hai hamein
phir bhi hum ko dikhai dete hain
dil ko bahlana hi to maqsad hai
farz kar lo dikhai dete hain
jaise hum tum ko saf dekhte hain
waise tum ko dikhai dete hain
tab-e-nazzara baqi hai ki gai
aur dekho dikhai dete hain
jo zamane ko dekhte bhi nahin
wo unhin ko dikhai dete hain
sher paDhte hain aap jab 'wasif'
dastan-go dikhai dete hain

Ghazal
Bas wahi wo dikhai dete hain
Wasif Yar