اردو हिंदी
Bas usi ka safar-e-shab mein talabgar hai kya | Shaahi Shayari
bas usi ka safar-e-shab mein talabgar hai kya

Ghazal

Bas usi ka safar-e-shab mein talabgar hai kya

Hamidi Kashmiri

;

bas usi ka safar-e-shab mein talabgar hai kya
tu hi ai mah mera hamdam o gham-KHwar hai kya

tesha-dar-dast umanD aai hai aabaadi tamam
sab yahi kahte hain dekhen pas-e-diwar hai kya

han isi lamhe mein hota hai sitaron ka nuzul
shahr-e-KHwabida mein koi dil-e-bedar hai kya

jism to jism hai majruh hui hai jaan bhi
apnon ke hote hue shikwa-e-aghyar hai kya

tharthari patton pe hai dard-ba-jaan hain kaliyan
tu bhi ai baad-e-sahar darpiae-azar hai kya

lab hilane ki sakat hai na qadam uThte hain
samne jo bhi hai daldal mein giraftar hai kya