bas tere liye udas aankhen
uf maslahat na-shanas aankhen
be-nur hui hain dhire dhire
aain nahin mujh ko ras aankhen
aaKHir ko gaya wo kash rukta
karti rahin iltimas aankhen
KHwabida haqiqaton ki mari
pamal aur bad-hawas aankhen
darpesh junun ka marhala aur
faqa hai badan to pyas aankhen

Ghazal
Bas tere liye udas aankhen
Ghalib Ayaz