bas ranj ki hai dastan unwan hazaron
jine ke liye mar gae insan hazaron
wo jis ne meri ruh ko dard-ashna rakkha
hain mujh pe usi zaKHm ke ehsan hazaron
jis KHak se kahte ho wafa hum nahin karte
soe hain usi KHak mein sultan hazaron
ek rasm-e-takabbur hai so is daur ke insan
jebon mein liye phirte hain pahchan hazaron
lazim hai masafat mein bhaTak jaana hamara
hum tanha musafir ke hain saman hazaron
ab hai faqat andesha-e-haalat mayassar
hum dil mein kabhi rakhte the arman hazaron
ye shahr-e-suKHan hai yahan har moD pe 'azhar'
hoshiyar bane baiThe hain nadan hazaron
Ghazal
Bas ranj ki hai dastan unwan hazaron
Azhar Hashmi