bas is taqsir par apne muqaddar mein hai mar jaana
tabassum ko tabassum kyun nazar ko kyun nazar jaana
KHirad walon se husn o ishq ki tanqid kya hogi
na afsun-e-nigah samjha na andaz-e-nazar jaana
mai-e-gulfam bhi hai saz-e-ishrat bhi hai saqi bhi
bahut mushkil hai aashob-e-haqiqat se guzar jaana
gham-e-dauran mein guzri jis qadar guzri jahan guzri
aur is par lutf ye hai zindagi ko muKHtasar jaana
Ghazal
Bas is taqsir par apne muqaddar mein hai mar jaana
Asrar-ul-Haq Majaz