bas ek KHata ki musalsal saza abhi tak hai 
mere KHilaf mera aaina abhi tak hai 
sabhi charagh andheron se mil gae lekin 
harif-e-mauj-e-hawa ek diya abhi tak hai 
miTa sake na use hadson ke dariya bhi 
wo ek nam jo dil par likha abhi tak hai 
giri hai meri jo dastar gham hua lekin 
ye shukr karta hun band-e-qaba abhi tak hai 
nazar uTha ke kaha mai-kade mein saqi ne 
wo kaun hai jo yahan parsa abhi tak hai 
na jaane kaun se sadmon ka shor tha is mein 
guzar chuka wo idhar se sada abhi tak hai
        Ghazal
Bas ek KHata ki musalsal saza abhi tak hai
Rais Siddiqui

