bas farq is qadar hai gunah o sawab mein
piri mein wo rawa hai ye jaez shabab mein
tasir-e-jazb-e-shauq ka ye sehr dekhiye
KHud aa gae hain wo mere KHat ke jawab mein
aaKHir taDap taDap ke ye KHamosh ho gaya
dil ko sukun mil hi gaya iztirab mein
aanhken mila ke ya to inayat ho ek jam
ya zahr hi mila do hamari sharab mein
ruKH aaftab honT kanwal chaal hashr-KHez
kis shai ki ab kami hai tumhaare shabab mein
duniya mein DhunDhte rahe hum rahaten abas
duniya ki rahaten to hain tere itab mein
'sahir' ajib shai hai mohabbat ka dard bhi
dil mubtala hai ek musalsal azab mein
Ghazal
Bas farq is qadar hai gunah o sawab mein
Sahir Hoshiyarpuri