bas ek waqt ka KHanjar meri talash mein hai 
jo rose bhes badal kar meri talash mein hai 
adhure KHwabon se ukta ke jis ko chhoD diya 
shikan-nasib wo bistar meri talash mein hai 
aziz hun main tujhe kis qadar ki har ek gham 
teri nigah bacha kar meri talash mein hai 
main ek qatra hun mera alag wajud to hai 
hua kare jo samundar meri talash mein hai 
wo ek saya hai apna ho ya paraya ho 
janam janam se barabar meri talash mein hai 
main jis ke hath mein ek phul de ke aaya tha 
usi ke hath ka patthar meri talash mein hai 
wo jis KHulus ki shiddat ne mar Dala 'nur' 
wahi KHulus mukarrar meri talash mein hai
 
        Ghazal
Bas ek waqt ka KHanjar meri talash mein hai
Krishn Bihari Noor

