bas ek waqt ka KHanjar meri talash mein hai 
jo rose bhes badal kar meri talash mein hai 
ye aur baat ki pahchanta nahin hai mujhe 
suna hai ek sitamgar meri talash mein hai 
adhure KHwabon se ukta ke jis ko chhoD diya 
shikan-nasib wo bistar meri talash mein hai 
ye mere ghar ki udasi hai aur kuchh bhi nahin 
diya jalae jo dar par meri talash mein hai 
aziz hun main mujhe kis qadar ki har ek gham 
teri nigah bacha kar meri talash mein hai 
main ek qatra hun mera alag wajud to hai 
hua kare jo samundar meri talash mein hai 
wo ek saya hai apna ho ya paraya ho 
janam janam se barabar meri talash mein hai 
main dewta ki tarah qaid apne mandir mein 
wo mere jism se bahar meri talash mein hai 
main jis ke hath mein ek phul de ke aaya tha 
usi ke hath ka patthar meri talash mein hai 
wo jis KHulus ki shiddat ne mar Dala 'nur' 
wahi KHulus muqarrar meri talash mein hai
 
        Ghazal
Bas ek waqt ka KHanjar meri talash mein hai
Krishn Bihari Noor

