اردو हिंदी
Bas ek raat mere ghar mein chand utra tha | Shaahi Shayari
bas ek raat mere ghar mein chand utra tha

Ghazal

Bas ek raat mere ghar mein chand utra tha

Mohammad Izhar ul Haq

;

bas ek raat mere ghar mein chand utra tha
phir is ke baad wahi main wahi andhera tha

saba ka narm sa jhonka tha ya bagula tha
wo kya tha jis ne mujhe muddaton rulaya tha

ajab uThan liye tha wo ghairat-e-shamshad
tabah-haal dilon ka kahan Thikana tha

andheri sham thi baadal baras na pae the
wo mere pas na tha aur main khul ke roya tha

zamin mein dafn mujhe kar gaya hai jite-ji
to kya main us ke liye qimti KHazina tha

jhulas jhulas ke main anjam-kar Dub gaya
wo tha sarab magar paniyon sa gahra tha

nishan kahin bhi na the us ki ungliyon ke magar
main ghar ki dekh ke ek ek chiz roya tha

jale to sath jalengi ye jhaDiyan 'izhaar'
kisi ke shahr mein to dard yun na baTta tha