bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka
lahuluhan paDa tha barahna tan us ka
na ye zamin hui us ke KHun se gulnar
na aasman se utara gaya kafan us ka
ram-e-najat bas ek jumbish-e-hawa mein tha
ki naqsh-e-ab ko Thahra diya badan us ka
lahakte shoalon mein go rakh ho chuke auraq
hawa chali to damakne laga suKHan us ka
ghasiTte hue KHud ko phiroge 'zeb' kahan
chalo ki KHak ko de aaen ye badan us ka
Ghazal
Bas ek parda-e-ighmaz tha kafan us ka
Zeb Ghauri