barson purane zaKHm ko be-kar kar diya
hum ne tera jawab bhi tayyar kar diya
tauq-e-badan utar ke phenka zamin se dur
duniya ke sath chalne se inkar kar diya
KHud hi dikhae KHwab bhi tausi-e-shahr ke
jangal ko KHud hi chiKH ke hushiyar kar diya
jamhuriyat ke bich phansi aqaliyat tha dil
mauqa jise jidhar se mila war kar diya
aae the kuchh sitare teri raushni ke sath
hum apne hi nashe mein the inkar kar diya
wo nind thi ki maut mujhe kuchh pata nahin
gahre ghane sukut ne bedar kar diya
hum aaine ke samne aae to ro paDe
us ne saja-sanwar ke be-kar kar diya
Ghazal
Barson purane zaKHm ko be-kar kar diya
Nomaan Shauque