barson gham-e-gesu mein giraftar to rakkha
ab kahte ho kya tum ne mujhe mar to rakkha
kuchh be-adabi aur shab-e-wasl nahin ki
han yar ke ruKHsar pe ruKHsar to rakkha
itna bhi ghanimat hai teri taraf se zalim
khiDki na rakhi rauzan-e-diwar to rakkha
wo zabh kare ya na kare gham nahin is ka
sar hum ne tah-e-KHanjar-e-KHun-KHwar to rakkha
is ishq ki himmat ke main sadqe hun ki 'begam'
har waqt mujhe marne pe tayyar to rakkha
Ghazal
Barson gham-e-gesu mein giraftar to rakkha
Begam Lakhnavi