barsi hain wo aankhen ki na baadal kabhi barse
andaza-e-gham kya ho magar dida-e-tar se
wo chaaragari thi ki azizon ki duaen
lauT aai hain matam ke liye bab-e-asar se
ek jabr-e-musalsal hai anasir ki kahani
muKHtar kahe jate the jab nikle the ghar se
shayad koi manzil nahin is rah mein paDti
wapas nahin aata koi yaadon ke safar se
kis ishrat-e-rafta ki ye wahshat-e-asari hai
dil Dub gaya qurb-e-shab-e-wasl ke Dar se
Ghazal
Barsi hain wo aankhen ki na baadal kabhi barse
Shafqat Tanveer Mirza