barpa tere visal ka tufan ho chuka
dil mein jo bagh tha wo bayaban ho chuka
paida wajud mein har ek imkan ho chuka
aur main bhi soch soch ke hairan ho chuka
pahle KHayal sab ka tha ab apni fikr hai
daman kahan raha jo gareban ho chuka
tum hi ne to ye dard diya hai janab-e-man
tum se hamare dard ka darman ho chuka
jo jashn-washn hai wo hisar-e-hawas mein hai
ye aarzu ka shahr to viran ho chuka
auron se puchhiye to haqiqat pata chale
tanhai mein to zat ka irfan ho chuka
ek shahryar shahr-e-hawas ko bhi chahiye
aur main bhi aashiqi se pareshan ho chuka
kitne maze ki baat hai aati nahin hai id
haalanki KHatm arsa-e-ramazan ho chuka
mausam KHizan ka ras kab aaya hamein 'shujaa'
jab aamad-e-bahaar ka elan ho chuka
Ghazal
Barpa tere visal ka tufan ho chuka
Shuja Khaavar