barham kabhi qasid se wo mahbub na hota
gar nam hamara sar-e-maktub na hota
KHuban-e-jahan ki hai tere husn se KHubi
tu KHub na hota to koi KHub na hota
islam se bargashta na hote ba-KHuda hum
gar ishq-e-butan taba ke marghub na hota
kyun pher wo deta mujhe le kar mere bar se
itna jo dil-e-zar ye mayub na hota
is but ko KHuda laya hai hum pas wagarna
jine ka hamare koi uslub na hota
dil aaj ke din pas jo hota mere to aah!
aane se main us shoKH ke mahjub na hota
hain lazim-o-malzum baham husn o mohabbat
hum hote na talib jo wo matlub na hota
sar apna rah-e-ishq mein deta jo na 'jurat'
tu majma-e-ushshaq ka sarkub na hota
Ghazal
Barham kabhi qasid se wo mahbub na hota
Jurat Qalandar Bakhsh