barham hain wo ghair be-haya se
mangen kuchh aur bhi KHuda se
achchha achchha adu se miliye
jao jao ji bala se
kya haal kahen dil-o-jigar ka
TukDe TukDe hai ja-ba-ja se
TuTe kanTe to zaKHm roe
aansu Tapke KHarash-e-pa se
rahat-talabi samajh ke ai dil
aise be-dard be-wafa se
matlub wahi ki jis ki fariyaad
niklega kaam kya dua se
ro len aao gale lipaT kar
fursat phir ho na ho qaza se
hum tak bhi koi shamim-e-gesu
itna kah dijiyo saba se
guzre kya jis se jaan de de
puchho to apne mubtala se
dekha sab ko 'nasim' dekha
KHamosh bayan muddaa se

Ghazal
Barham hain wo ghair be-haya se
Naseem Dehlvi