اردو हिंदी
Bardasht ki hadon se mera dil guzar gaya | Shaahi Shayari
bardasht ki hadon se mera dil guzar gaya

Ghazal

Bardasht ki hadon se mera dil guzar gaya

Sajid Asar

;

bardasht ki hadon se mera dil guzar gaya
aandhi uThi to ret ka Tila bikhar gaya

tahrik jab jumud ke sanche mein Dhal gai
aisa laga ki KHun ragon mein Thahar gaya

wo shaKHs jis ne umr guzari thi dhup mein
ThanDak ki jaedad mere nam kar gaya

main us ko ham-KHayal samajhta raha magar
sine mein iKHtilaf ka chaqu utar gaya

pur-haul waqiat ke gumbad mein hain asir
hum kya karen hamari dua ka 'asar' gaya