barbaad-e-tamanna pe itab aur ziyaada
han meri mohabbat ka jawab aur ziyaada
roen na abhi ahl-e-nazar haal pe mere
hona hai abhi mujh ko KHarab aur ziyaada
aawara o majnun hi pe mauquf nahin kuchh
milne hain abhi mujh ko KHitab aur ziyaada
uTThenge abhi aur bhi tufan mere dil se
dekhunga abhi ishq ke KHwab aur ziyaada
Tapkega lahu aur mere dida-e-tar se
dhaDkega dil-e-KHana-KHarab aur ziyaada
hogi meri baaton se unhen aur bhi hairat
aaega unhen mujh se hijab aur ziyaada
use mutrib-e-bebak koi aur bhi naghma
ai saqi-e-fayyaz sharab aur ziyaada
Ghazal
Barbaad-e-tamanna pe itab aur ziyaada
Asrar-ul-Haq Majaz