اردو हिंदी
Baraste rose patthar dekhta hun | Shaahi Shayari
baraste rose patthar dekhta hun

Ghazal

Baraste rose patthar dekhta hun

Ghani Ghayoor

;

baraste rose patthar dekhta hun
yahi rona main ghar ghar dekhta hun

nikal kar KHud se bahar dekhta hun
samundar apne andar dekhta hun

upaj dugna hai tujh se ab ke mera
main tere sath mil kar dekhta hun

nazar aata hai manzar aur koi
jagah apni se uTh kar dekhta hun

hisab apna yahan sab de rahe hain
bapa har samt mahshar dekhta hun

jise tum log behtar kah rahe ho
wahi abtar se abtar dekhta hun

alag andaz mera zawiya bhi
teri duniya se haT kar dekhta hun

ghani hai asl ashiya aur hi kuchh
tumhaare KHair ko shar dekhta hun