barae nam sahi din ke hath pile hain
kahin kahin pe abhi raushni ke Tile hain
tamam raat mere gham ka zahar chusa hai
isi liye teri yaadon ke honT nile hain
hamare zabt ki diwar aahani na sahi
tumhaare tanz ke neze kahan nukile hain
unhen bhi aaj ki tahzib chaT jaegi
kahin kahin pe jo simTe hue qabile hain
har ek shaKHs hai paighambarana soch mein gharq
husul-e-zist ke shayad yahi wasile hain
hamari sada-mizaji pe rashk karte hain
wo sada-posh jo be-intiha rangile hain
badan ka loch labon ki miThas qurb ka lams
tasawwuraat ke sab zaiqe rasile hain
KHulus-e-dil se samaat ka imtihan to lo
gham-e-hayat ke naghme baDe surile hain
Ghazal
Barae nam sahi din ke hath pile hain
Sultan Akhtar