barabar se bach kar guzar jaane wale 
ye nale nahin be-asar jaane wale 
nahin jaante kuchh ki jaana kahan hai 
chale ja rahe hain magar jaane wale 
mere dil ki betabiyan bhi liye ja 
dabe panw munh pher kar jaane wale 
tere ek ishaare pe sakit khaDe hain 
nahin kah ke sab se guzar jaane wale 
mohabbat mein hum to jiye hain jiyenge 
wo honge koi aur mar jaane wale
 
        Ghazal
Barabar se bach kar guzar jaane wale
Jigar Moradabadi

