اردو हिंदी
Bar-sar-e-lutf aaj chashm-e-dil-ruba thi main na tha | Shaahi Shayari
bar-sar-e-lutf aaj chashm-e-dil-ruba thi main na tha

Ghazal

Bar-sar-e-lutf aaj chashm-e-dil-ruba thi main na tha

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

;

bar-sar-e-lutf aaj chashm-e-dil-ruba thi main na tha
DhunDhti mujh ko nigah-e-ashna thi main na tha

yar ko madd-e-nazar mashq-e-jafa thi main na tha
wae qismat kal wahan meri qaza thi main na tha

mere hote be-takalluf hatha-pai ghair se
qabil is rutbe ke zalim kya hina thi main na tha

aah meri na-rasa fariyaad meri be-asar
nind uDa di jis ne teri wo hawa thi main na tha

yaad farmana tha mujh ko bhi dam-e-gul-gasht-e-bagh
sath chalne ko jilau main kya saba thi main na tha

ai pari pa-bos se mahrum kyun rakkha mujhe
KHun-girafta is chaman mein kya hina thi main na tha

wa-e-qismat DhunDti thi kal mujhe shamshir-e-yar
rahmat-e-am us ki sar-garm-e-ata thi main na tha

jam mina baada saqi chang daf barbat rabab
nahr gulshan chandni sabza faza thi main na tha

apne kuche mein kiya hota mujhe jarub-kash
sahab is KHidmat ke qabil kya saba thi main na tha

toD kar aflak jo pahunchi sar-e-arsh-e-barin
qudsiyo wo meri aah-e-na-rasa thi main na tha

umr-e-rafta tu hi mujh wamanda ka sun le payam
qafile walon se kah dena ki sathi main na tha

subh-e-wasl aazurdagi mujh se hi kis taqsir par
wajh-e-naraazi to meri iltija thi main na tha

jab gila aashob-pardazon ka us but se kiya
bol uTha shoKHi se chashm-e-fitna-za thi main na tha

jam mina baada saqi tha ye sab 'nazim' wahan
par meri qismat ki KHali meri ja thi main na tha