bande zamin aur aasman sarma ki shab kahaniyan
sachchi hain ye rifaqaten baqi hain sab kahaniyan
KHeme ukhaD ujaD gae aisi hawa-e-shab chali
kirnen zamin pe likh gain kaisi ajab kahaniyan
wusat-e-dasht ke makin wadi mein kuch kar gae
shaKHon pe barf likh gai naghma-ba-lab kahaniyan
chand ki KHak aa gai pairon tale hayat ke
aisi kaThin riwayaten aisi kaDhab kahaniyan
jauhar-e-haq nahin mila mujh ko kisi kitab mein
miTTi se sun raha hun main aali-nasab kahaniyan
wusat-e-koh-o-dasht ho shahr o nagar ka gasht ho
mera safar hikayaten mera adab kahaniyan
shahron ko kya KHabar ki main kaun hun kis faza mein hun
likhni hain ek din mujhe sabr-talab kahaniyan
Ghazal
Bande zamin aur aasman sarma ki shab kahaniyan
Aitbar Sajid