band kar le khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh 
Dubti aankhon se apne shahr ka manzar na dekh 
kya pata zanjir mein Dhal jae bistar ki shikan 
ye safar ka waqt hai ab jaanib-e-bistar na dekh 
KHak o KHun miras teri KHak o KHun tera nasib 
is ziyan-KHane mein apne panw ka chakkar na dekh 
tu ne jo parchhaiyan chhoDin wo sahra ban gain 
ai nigar-e-waqt ab pichhe kabhi muD kar na dekh
        Ghazal
Band kar le khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh
Shamim Hanafi

