band fasilen shahr ki toDen zat ki girhen kholen
bargad niche nadi kinare baiTh kahani bolen
dhire dhire KHud ko nikalen is bandhan jakDan se
sang kisi aawara manush ke haule haule ho len
fikr ki kis sarshaar Dagar par sham Dhale ji chaha
jhil mein Thahre apne aks ko chumen honT bhigo len
hath laga baiThe to jiwan bhar maqruz rahenge
dam na puchhen dard ke sahab pahle jeb TaTolen
naushadar gandhak ki zaban mein sher kahen is yug mein
sach ke nile zahr ko lahje ke tezab mein gholen
apni nazar ke baT na rakkhen 'saz' hum ek palDe mein
bojhal tanqidon se kyun apne izhaar ko taulen
Ghazal
Band fasilen shahr ki toDen zat ki girhen kholen
Abdul Ahad Saaz