band dariche suni galiyan an-dekhe anjaane log
kis nagri mein aa nikle hain 'sajid' hum diwane log
ek hami na-waqif Thahre rup-nagar ki galiyon se
bhes badal kar milne wale sab jaane-pahchane log
din ko raat kahen so bar-haq subh ko sham kahen so KHub
aap ki baat ka kahna hi kya aap hue farzane log
shikwa kya aur kaisi shikayat aaKHir kuchh buniyaad to ho
tum par mera haq hi kya hai tum Thahre begane log
shahr kahan KHali rahta hai ye dariya har-dam bahta hai
aur bahut se mil jaenge hum aise diwane log
suna hai us ke ahd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
un galiyon mein har har sans pe bharte hain jurmane log
Ghazal
Band dariche suni galiyan an-dekhe anjaane log
Aitbar Sajid