band aankhon se wo manzar dekhun
reg-e-sahra ko samundar dekhun
kya guzarti hai mere baad us par
aaj main us se bichhaD kar dekhun
shahr ka shahr hua patthar ka
main ne chaha tha ki muD kar dekhun
KHauf tanhai ghuTan sannaTa
kya nahin mujh mein jo bahar dekhun
hai har ek shaKHs ka dil patthar ka
main jidhar jaun ye patthar dekhun
kuchh to andaza-e-tufan ho 'amir'
naw kaghaz ki chala kar dekhun
Ghazal
Band aankhon se wo manzar dekhun
Ameer Qazalbash